Agar Hai Pyaar Mujhse to Bataana Bhi Zaroori Hai
Agar Hai Pyaar Mujhse to Bataana Bhi Zaroori Hai
अगर है प्यार मुझसे तो बताना भी ज़रूरी है
दिया है हुस्न मौला ने दिखाना भी ज़रूरी है
इशारा तो करो मुझको कभी अपनी निगाहों से
अगर है इश्क़ मुझसे तो जताना भी ज़रूरी है
अगर कर ले सभी ये काम झगड़ा हो नहीं सकता
ख़ता कोई नज़र आए छुपाना भी ज़रूरी है
अगर टूटे कभी रिश्ता तुम्हारी हरकतों से जब
पड़े कदमों में जाकर फिर मनाना भी ज़रूरी है
कभी मज़लूम आ जाए तुम्हारे सामने तो फिर
उसे अब पेट भर कर के खिलाना भी ज़रूरी है
अगर रोता नज़र आए कभी मस्जिद या मंदिर में
बड़े ही प्यार से उसको हँसाना भी ज़रूरी है
In Hinglish
Agar hai pyaar mujhse to bataana bhi zaroori hai
diya hai husn maula ne dikhana bhi zaroori hai
ishara to karo mujhko kabhi apni nigaahon se
agar hai ishq mujhse to bataana bhi zaroori hai
agar kar le sabhi ye kaam jhagda ho nahi sakta
khata koi nazar aaye chupana bhi zaroori hai
agar toote kabhi rishta tumhari harkaton se jab
pade kadmon me jakar fir manaana bhi zaroori hai
kabhi majloom aa jaaye tumhare samne to fir
use ab pet bhar ke khilaana bhi zaroori hai
agar rota nazar aaye kabhi masjid ya mandir main
bade hi pyaar se usko hasaana bhi zaroori hai
About author
Name – Muhammad Asif Ali
नाम - मुहम्मद आसिफ अली
From – Kashipur, Uttarakhand, India
DOB – 13 March 2001
Website - https:// authorasifkhan.blogspot.com/
नाम - मुहम्मद आसिफ अली
From – Kashipur, Uttarakhand, India
DOB – 13 March 2001
Website - https://
Description - Muhammad Asif Ali is an Indian poet and author from Kashipur, Uttarakhand, India. He is the founder and CEO of Youtreex Foundation and co-founder of Prizmweb Technologies.